dasht-e-vafā meñ Thokareñ khāne kā shauq thā
ab har qadam pe uḌtī hai kaalī harī havā
tanhā kahāñ huuñ go ki yahāñ koī bhī nahīñ
mujh se lipaT ke sotā hai saaya ḳhafā ḳhafā
haiñ gul-mohar ke peḌ bhī dariyā bhī dhuup bhī
ḳhāmosh dekhtā hai har ik shai ko be-navā
jiine kī raah chhoḌ ke aage nikal gayā
manzil pukārtī rahī jaatā hai sar-phirā
naġhma banā ke mujh ko fazā meñ uḌā diyā
ab maiñ kahāñ se DhūñDh ke lā.ūñ tirī sadā
dasht-e-wafa mein Thokaren khane ka shauq tha
ab har qadam pe uDti hai kali hari hawa
tanha kahan hun go ki yahan koi bhi nahin
mujh se lipaT ke sota hai saya KHafa KHafa
hain gul-mohar ke peD bhi dariya bhi dhup bhi
KHamosh dekhta hai har ek shai ko be-nawa
jine ki rah chhoD ke aage nikal gaya
manzil pukarti rahi jata hai sar-phira
naghma bana ke mujh ko faza mein uDa diya
ab main kahan se DhunDh ke laun teri sada
Leave a comment