Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Agah Vellori

  • Ghazal


agarche dil ko le sath apne aaya ashk mera


agarche dil ko le saath apne aayā ashk mirā
nigāh meñ tirī hargiz na bhāyā ashk mirā

maiñ tere hijr meñ jiine se ho gayā thā udaas
pe garm-joshī se kyā kyā manāyā ashk mirā

hazar zarūrī hai ai sarv-e-nāz is se tujhe
ki ābshār-e-mizha ko bahāyā ashk mirā

huā hai kaun se ḳhurshīd-rū se garm itnā
ki mere dil ko jo aisā jalāyā ashk mirā

ba-rañg-e-ġhuncha-e-afsurda ho gayā thā ye dil
so vaise murda ko pal meñ jalāyā ashk mirā

huā vo jab nazar-andāz yaar kā 'āgāh'
mujhe ye be-asarī par hañsāyā ashk mirā

agarche dil ko le sath apne aaya ashk mera
nigah mein teri hargiz na bhaya ashk mera

main tere hijr mein jine se ho gaya tha udas
pe garm-joshi se kya kya manaya ashk mera

hazar zaruri hai ai sarw-e-naz is se tujhe
ki aabshaar-e-mizha ko bahaya ashk mera

hua hai kaun se KHurshid-ru se garm itna
ki mere dil ko jo aisa jalaya ashk mera

ba-rang-e-ghuncha-e-afsurda ho gaya tha ye dil
so waise murda ko pal mein jalaya ashk mera

hua wo jab nazar-andaz yar ka 'agah'
mujhe ye be-asari par hansaya ashk mera


Leave a comment

+