Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Balraj Hayat

  • Ghazal


sadiyon ka karb lamhon ke dil mein basa diya


sadiyoñ kā karb lamhoñ ke dil meñ basā diyā
pal bhar kī zindagī ko davāmī banā diyā

dīvār meñ vo chun hī rahā thā mujhe magar
kam-baḳht ek sañg kahīñ muskurā diyā

jab aur koī madd-e-muqābil nahīñ rahā
merī anā ne mujh ko mujhī se laḌā diyā

mujh se na pūchh kal ke muhaqqiq se pūchhnā
sho.aloñ ke lams ne mujhe kyuuñ yaḳh banā diyā

yādoñ ke shahr meñ bhī na 'hairat' sukūñ milā
hālāt ne mizāj kuchh aisā banā diyā

sadiyon ka karb lamhon ke dil mein basa diya
pal bhar ki zindagi ko dawami bana diya

diwar mein wo chun hi raha tha mujhe magar
kam-baKHt ek sang kahin muskura diya

jab aur koi madd-e-muqabil nahin raha
meri ana ne mujh ko mujhi se laDa diya

mujh se na puchh kal ke muhaqqiq se puchhna
shoalon ke lams ne mujhe kyun yaKH bana diya

yaadon ke shahr mein bhi na 'hairat' sukun mila
haalat ne mizaj kuchh aisa bana diya


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+