Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zahidul Haque

  • Ghazal


humne to sharafat mein har chiz ganwa di hai


ham ne to sharāfat meñ har chiiz gañvā dī hai
duniyā kā kabhī ġham thā ab maut kī shādī hai

sab zaḳhm hue taaza yādoñ se ulajhte hī
bujhte hue sho.aloñ ko ye kis ne havā dī hai

ik baar kahā hotā ham aap hī mar jaate
tum ne to hameñ saaqī nazroñ se pilā dī hai

tanhā.ī muqaddar hai merā bhī tumhārā bhī
is daur meñ jiine kī kyā ḳhuub sazā dī hai

vo lauT ke ā.eñge is aas meñ āñkhoñ ko
dahlīz pe rakkhā hai aur sham.a bujhā dī hai

hum ne to sharafat mein har chiz ganwa di hai
duniya ka kabhi gham tha ab maut ki shadi hai

sab zaKHm hue taza yaadon se ulajhte hi
bujhte hue shoalon ko ye kis ne hawa di hai

ek bar kaha hota hum aap hi mar jate
tum ne to hamein saqi nazron se pila di hai

tanhai muqaddar hai mera bhi tumhaara bhi
is daur mein jine ki kya KHub saza di hai

wo lauT ke aaenge is aas mein aankhon ko
dahliz pe rakkha hai aur shama bujha di hai


Leave a comment

+