Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Balmohan panday

  • Ghazal


rawangi mein samay ka KHayal karte hain


ravāngī meñ samay kā ḳhayāl karte haiñ
phir us ko bhej ke pahroñ malāl karte haiñ

zarā se talḳh-bayānī pasand haiñ phir bhī
udaas log mohabbat kamāl karte haiñ

ab un ko ishq ke ādāb kaun samjhā.e
bujhe charāġh havā se savāl karte haiñ

gunah hai ishq pe pābandiyāñ bajā lekin
tumhāre log to jiinā muhāl karte haiñ

is ek jumle ne karne nahīñ diyā kuchh bhī
jo log kuchh nahīñ karte kamāl karte haiñ

rawangi mein samay ka KHayal karte hain
phir us ko bhej ke pahron malal karte hain

zara se talKH-bayani pasand hain phir bhi
udas log mohabbat kamal karte hain

ab un ko ishq ke aadab kaun samjhae
bujhe charagh hawa se sawal karte hain

gunah hai ishq pe pabandiyan baja lekin
tumhaare log to jina muhaal karte hain

is ek jumle ne karne nahin diya kuchh bhi
jo log kuchh nahin karte kamal karte hain


Leave a comment

+