Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Balmohan panday

  • Ghazal


aaghaz se anjam-e-safar dekh raha hun


āġhāz se anjām-e-safar dekh rahā huuñ
dekhā nahīñ jaatā hai magar dekh rahā huuñ

tairāk lagātār yahāñ Duub rahe haiñ
chup-chāp maiñ dariyā kā hunar dekh rahā huuñ

is ḳhvāb kī ta.abīr koī mujh ko batā de
manzil se bhī aage kā safar dekh rahā huuñ

us shaḳhs ke hoñToñ pe mirā zikr bahut hai
maiñ apnī duāoñ kā asar dekh rahā huuñ

jo tujh ko bahut duur kabhī le ga.ī mujh se
maiñ kab se vahī rāhguzar dekh rahā huuñ

ik umr se qaa.em hai ye rātoñ kī hukūmat
ik umr se maiñ ḳhvāb-e-sahar dekh rahā huuñ

aaghaz se anjam-e-safar dekh raha hun
dekha nahin jata hai magar dekh raha hun

tairak lagatar yahan Dub rahe hain
chup-chap main dariya ka hunar dekh raha hun

is KHwab ki tabir koi mujh ko bata de
manzil se bhi aage ka safar dekh raha hun

us shaKHs ke honTon pe mera zikr bahut hai
main apni duaon ka asar dekh raha hun

jo tujh ko bahut dur kabhi le gai mujh se
main kab se wahi rahguzar dekh raha hun

ek umr se qaem hai ye raaton ki hukumat
ek umr se main KHwab-e-sahar dekh raha hun


Leave a comment

+