haqīqat hai ki nanhā sā diyā huuñ
magar har haal meñ jaltā rahā huuñ
jamāl-e-sub.h se nā-āshnā huuñ
kisī tārīk shab kī bad-duā huuñ
vo aisā chhā gayā hai zehn-o-dil par
jidhar dekhūñ usī ko dekhtā huuñ
koī to DhūñD kar mujh ko nikāle
maiñ apne shahr-e-jāñ meñ kho gayā huuñ
jo hai tamsīl-e-husn-e-pārsā.ī
'valī' maiñ aisā riñd-e-pārsā huuñ
haqiqat hai ki nanha sa diya hun
magar har haal mein jalta raha hun
jamal-e-subh se na-ashna hun
kisi tarik shab ki bad-dua hun
wo aisa chha gaya hai zehn-o-dil par
jidhar dekhun usi ko dekhta hun
koi to DhunD kar mujh ko nikale
main apne shahr-e-jaan mein kho gaya hun
jo hai tamsil-e-husn-e-parsai
'wali' main aisa rind-e-parsa hun
Leave a comment