Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baldev Raaj

  • Ghazal


mere armanon ko pamal-e-ziyan rahne bhi de


mere armānoñ ko pāmāl-e-ziyāñ rahne bhī de
shauq-e-manzil ko sharīk-e-kārvāñ rahne bhī de

va.ada-o-paimān-e-ulfat ko na de lafzoñ kā rañg
dard se labrez nāloñ ko javāñ rahne bhī de

dekh mujh ko hasrat-ālūda nigāhoñ se na dekh
ye fusūñ ye shoḳh andāz-e-bayāñ rahne bhī de

hā.il-e-ulfat agar hai zindagī kī kashmakash
zindagī kī kashmakash ko darmiyāñ rahne bhī de

maiñ jahāñ huuñ jis tarah huuñ ḳhuub huuñ dil-shād huuñ
hāsil-e-ulfat haiñ ye barbādiyāñ rahne bhī de

vo guzishta aish-o-ishrat vo nashāt-e-zindagī
ḳhvāb thā is ḳhvāb kī rañgīniyāñ rahne bhī de

dost majbūr-e-vafā ho kar na khā dil kā fareb
zindagī par kāmrānī kā gumāñ rahne bhī de

naqsh-e-ġham ko kyoñ miTātī hai dil-e-ġhamgīn se
ye mirī ḳhūnīñ bahāreñ be-ḳhizāñ rahne bhī de

mere armanon ko pamal-e-ziyan rahne bhi de
shauq-e-manzil ko sharik-e-karwan rahne bhi de

wada-o-paiman-e-ulfat ko na de lafzon ka rang
dard se labrez nalon ko jawan rahne bhi de

dekh mujh ko hasrat-aluda nigahon se na dekh
ye fusun ye shoKH andaz-e-bayan rahne bhi de

hail-e-ulfat agar hai zindagi ki kashmakash
zindagi ki kashmakash ko darmiyan rahne bhi de

main jahan hun jis tarah hun KHub hun dil-shad hun
hasil-e-ulfat hain ye barbaadiyan rahne bhi de

wo guzishta aish-o-ishrat wo nashat-e-zindagi
KHwab tha is KHwab ki ranginiyan rahne bhi de

dost majbur-e-wafa ho kar na kha dil ka fareb
zindagi par kaamrani ka guman rahne bhi de

naqsh-e-gham ko kyon miTati hai dil-e-ghamgin se
ye meri KHunin bahaaren be-KHizan rahne bhi de


Source:

Leave a comment

+