koī parda miyān-e-ishq haa.il ho nahīñ saktā
ye had hai to bhī ab madd-e-muqābil ho nahīñ saktā
tirā ahd-e-mohabbat TuuT kar ahd-e-mohabbat hai
magar dil TuuT jaatā hai to phir dil ho nahīñ saktā
mohabbat meñ parastish kā maqām ūñchā sahī lekin
ye ġham insān kī fitrat meñ shāmil ho nahīñ saktā
mire azm-e-safar meñ ye tirā husn-e-sukūn-afzā
charāġh-e-rāh ban saktā hai manzil ho nahīñ saktā
girāyā hai nazar kī us bulandī se mujhe tū ne
maiñ ab apnī nigāhoñ ke bhī qābil ho nahīñ saktā
koi parda miyan-e-ishq hail ho nahin sakta
ye had hai to bhi ab madd-e-muqabil ho nahin sakta
tera ahd-e-mohabbat TuT kar ahd-e-mohabbat hai
magar dil TuT jata hai to phir dil ho nahin sakta
mohabbat mein parastish ka maqam uncha sahi lekin
ye gham insan ki fitrat mein shamil ho nahin sakta
mere azm-e-safar mein ye tera husn-e-sukun-afza
charagh-e-rah ban sakta hai manzil ho nahin sakta
giraya hai nazar ki us bulandi se mujhe tu ne
main ab apni nigahon ke bhi qabil ho nahin sakta
Source:
Leave a comment