ab mirī nigāhoñ meñ auj hai na pastī hai
ek sail-e-mad-hoshī ik hujūm-e-mastī hai
ai nigāh-e-nā-mahram ishq kī vo bastī hai
jis qadar ujaḌtī hai us qadar hī bastī hai
āshiqī-o-mahbūbī aa.ine ke do ruḳh haiñ
husn ek baada hai ishq ek mastī hai
jazba-e-ibādat ko rakh jazā se begāna
varna haq-parastī bhī ik havas-parastī hai
dil kī pā.emālī kā ġham to kuchh nahīñ lekin
aisī pur-fazā bastī mushkiloñ se bastī hai
dīda-var koī dekhe shān-e-pīr-e-mai-ḳhāna
is ḳhudī ke chehre se be-ḳhudī barastī hai
himmatoñ ke bal uTTho ḳhud-ravī ke bal niklo
laġhzishoñ ke bal chalnā nañg-e-mai-parastī hai
aadmī ke chehre par bandagī nahīñ rahtī
varna ḳhud-parastī bhī ik ḳhudā-parastī hai
ab meri nigahon mein auj hai na pasti hai
ek sail-e-mad-hoshi ek hujum-e-masti hai
ai nigah-e-na-mahram ishq ki wo basti hai
jis qadar ujaDti hai us qadar hi basti hai
aashiqi-o-mahbubi aaine ke do ruKH hain
husn ek baada hai ishq ek masti hai
jazba-e-ibaadat ko rakh jaza se begana
warna haq-parasti bhi ek hawas-parasti hai
dil ki paemali ka gham to kuchh nahin lekin
aisi pur-faza basti mushkilon se basti hai
dida-war koi dekhe shan-e-pir-e-mai-KHana
is KHudi ke chehre se be-KHudi barasti hai
himmaton ke bal uTTho KHud-rawi ke bal niklo
laghzishon ke bal chalna nang-e-mai-parasti hai
aadmi ke chehre par bandagi nahin rahti
warna KHud-parasti bhi ek KHuda-parasti hai
Source:
Leave a comment