Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baldev Raaj

  • Ghazal


gardish mein hai zamin bhi kya aasman ke sath


gardish meñ hai zamīn bhī kyā āsmāñ ke saath
duniyā badal ga.ī nigah-e-mehrbāñ ke saath

dohrānā anjuman meñ samajh soch ke use
terī bhī dāstāñ hai mirī dāstāñ ke saath

ab maiñ huuñ aur kunj-e-qafas kī musībateñ
vo āshiyāñ kī baat ga.ī āshiyāñ ke saath

betābiyoñ se rabt thā bechainiyoñ se kaam
guzre haiñ aise din bhī us ārām-jāñ ke saath

roz-e-azal vahī to faqat mustahiq na thā
kuchh gardisheñ hameñ bhī milīñ āsmāñ ke saath

ġham ko tire bhulā na sakā do-jahāñ kā ġham
terā bhī ġham rahā hai ġham-e-do-jahāñ ke saath

ummīd hī nahīñ to guzar jā.egī yūñhī
ik mehrbāñ ke saath ki nā-mehrbāñ ke saath

ye soz-o-sāz-e-ishq ġham-e-jāvedāñ sahī
de umr-e-jāvedāñ bhī ġham-e-jāvedāñ ke saath

manzil kā kyā yaqīñ ho batā.e koī mujhe
jab rahguzār bhī hai ravāñ kārvāñ ke saath

gardish mein hai zamin bhi kya aasman ke sath
duniya badal gai nigah-e-mehrban ke sath

dohrana anjuman mein samajh soch ke use
teri bhi dastan hai meri dastan ke sath

ab main hun aur kunj-e-qafas ki musibaten
wo aashiyan ki baat gai aashiyan ke sath

betabiyon se rabt tha bechainiyon se kaam
guzre hain aise din bhi us aaram-jaan ke sath

roz-e-azal wahi to faqat mustahiq na tha
kuchh gardishen hamein bhi milin aasman ke sath

gham ko tere bhula na saka do-jahan ka gham
tera bhi gham raha hai gham-e-do-jahan ke sath

ummid hi nahin to guzar jaegi yunhi
ek mehrban ke sath ki na-mehrban ke sath

ye soz-o-saz-e-ishq gham-e-jawedan sahi
de umr-e-jawedan bhi gham-e-jawedan ke sath

manzil ka kya yaqin ho batae koi mujhe
jab rahguzar bhi hai rawan karwan ke sath


Source:

Leave a comment

+