ḳhizāñ kā koī vajūd hai na chaman meñ rañg-e-bahār hai
jise jāntā hai tū kārvāñ vo tirī nazar kā ġhubār hai
na jamāl meñ haiñ latāfateñ na latāfatoñ meñ hai be-ḳhudī
ye junūn-e-ishq kā bhuut hai jo bashar ke sar pe savār hai
mujhe be-niyāz-e-alam na kar mujhe be-nasīb-e-sitam na kar
mire ġham kī lazzat-e-jāvedāñ mirī zindagī kī bahār hai
ye nahīñ nashāt kā zamzama ise gosh-e-hosh se sun zarā
mire sāz-e-dil kī sadā nahīñ mirī be-kasī kī pukār hai
mujhe zindagī kī duā na de mujhe aisī saḳht sazā na de
mujhe dekh aa ke qarīb-tar mirā har nafas mujhe baar hai
hai ḳhabar asiir rihā hue haiñ faroġh daur-e-bahār meñ
chalo 'raaj ham bhī chale chaleñ ki chaman meñ urs-e-bahār hai
KHizan ka koi wajud hai na chaman mein rang-e-bahaar hai
jise jaanta hai tu karwan wo teri nazar ka ghubar hai
na jamal mein hain latafaten na latafaton mein hai be-KHudi
ye junun-e-ishq ka bhut hai jo bashar ke sar pe sawar hai
mujhe be-niyaz-e-alam na kar mujhe be-nasib-e-sitam na kar
mere gham ki lazzat-e-jawedan meri zindagi ki bahaar hai
ye nahin nashat ka zamzama ise gosh-e-hosh se sun zara
mere saz-e-dil ki sada nahin meri be-kasi ki pukar hai
mujhe zindagi ki dua na de mujhe aisi saKHt saza na de
mujhe dekh aa ke qarib-tar mera har nafas mujhe bar hai
hai KHabar asir riha hue hain farogh daur-e-bahaar mein
chalo 'raj hum bhi chale chalen ki chaman mein urs-e-bahaar hai
Source:
Leave a comment