Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baldev Raaj

  • Ghazal


bahut pachhtaoge tum dard-mandon se KHafa ho kar


bahut pachhtāoge tum dard-mandoñ se ḳhafā ho kar
ki gul murjhā ke rah jaatā hai ḳhāroñ se judā ho kar

kahāñ jaanā thā mujh ko aur kahāñ lā kar kiyā rusvā
nigāh-e-shauq ne dhokā diyā hai rahnumā ho kar

sitam kiije jafā kiije magar insāf se kahiye
ye nārāzī bhalā zebā hai bande se ḳhudā ho kar

bahāreñ jā rahī thiiñ jab ḳhizāñ ke saath gulshan se
guloñ kī aañkh meñ bhar aa.e aañsū iltijā ho kar

zamāna gar qayāmat bhī uThātā hai uThāne do
magar uTh kar na jaao mere pahlū se ḳhafā ho kar

ḳhayāl-e-dost ḳhizr-e-rāh hai dasht-e-mohabbat meñ
junūñ hamrāh le jaatā rahā hai rahnumā ho kar

ḳhudārā rahm kar paimān-e-ulfat bāñdhne vaale
kahāñ jā.ūñgā maiñ āḳhir tire ġham se rihā ho kar

na ban jaa.e tumhārī zindagī kā aasrā koī
na itrāo kisī kī zindagī kā aasrā ho kar

mujhe tūfān le jaatā jahāñ merā muqaddar thā
Duboyā hai mirī kashtī ko tum ne nāḳhudā ho kar

hamārī dekhā-dekhī tum vafāoñ par na aa jaanā
zamāne se hameñ kyā mil rahā hai bā-vafā ho kar

bayāñ kyā hāl-e-dil ho jab mohabbat kā ye aalam hai
shikāyat bhī mire hoñToñ pe aatī hai duā ho kar

ajab dastūr hai ai 'raaj duniyā-e-mohabbat kā
jafā.eñ sāmne aa.iiñ vafāoñ kī sazā ho kar

bahut pachhtaoge tum dard-mandon se KHafa ho kar
ki gul murjha ke rah jata hai KHaron se juda ho kar

kahan jaana tha mujh ko aur kahan la kar kiya ruswa
nigah-e-shauq ne dhoka diya hai rahnuma ho kar

sitam kije jafa kije magar insaf se kahiye
ye naraazi bhala zeba hai bande se KHuda ho kar

bahaaren ja rahi thin jab KHizan ke sath gulshan se
gulon ki aankh mein bhar aae aansu iltija ho kar

zamana gar qayamat bhi uThata hai uThane do
magar uTh kar na jao mere pahlu se KHafa ho kar

KHayal-e-dost KHizr-e-rah hai dasht-e-mohabbat mein
junun hamrah le jata raha hai rahnuma ho kar

KHudara rahm kar paiman-e-ulfat bandhne wale
kahan jaunga main aaKHir tere gham se riha ho kar

na ban jae tumhaari zindagi ka aasra koi
na itrao kisi ki zindagi ka aasra ho kar

mujhe tufan le jata jahan mera muqaddar tha
Duboya hai meri kashti ko tum ne naKHuda ho kar

hamari dekha-dekhi tum wafaon par na aa jaana
zamane se hamein kya mil raha hai ba-wafa ho kar

bayan kya haal-e-dil ho jab mohabbat ka ye aalam hai
shikayat bhi mere honTon pe aati hai dua ho kar

ajab dastur hai ai 'raj duniya-e-mohabbat ka
jafaen samne aain wafaon ki saza ho kar


Source:

Leave a comment

+