fikr-o-ḳhayāl meñ tumheñ laane se fā.eda
ḳhud apne ghar meñ aag lagāne se fā.eda
baiThe biThā.e jī ko jalāne se fā.eda
ta.amīr-e-zindagī ko miTāne se fā.eda
fariyād-o-āh nāla-o-shevan fuzūl haiñ
shab kī ḳhamoshiyoñ ko jagāne se fā.eda
pāmāl ho chuke haiñ ye andāz-e-āshiqī
yuuñ sar kisī ke dar pe jhukāne se fā.eda
achchhā nahīñ hai ishq meñ ḳhuddāriyoñ kā ḳhuun
jo ḳhud na aa.e us ko bulāne se fā.eda
ishq aur ḳhayāl-e-ta.an-e-zamāna ġhalat ġhalat
āḳhir batāo ham ko zamāne se fā.eda
ashkoñ meñ bah chukī hai nigāh-e-jamāl jo
ab be-naqāb sāmne aane se fā.eda
gar jāvedāñ nahīñ hai mohabbat to ai nadīm
ye ḳhvāb-e-zar-nigār dikhāne se fā.eda
bahr-e-sukūñ meñ Duub ga.ī mauj-e-iztirāb
sāhil pe ġham kā sog manāne se fā.eda
maiñ bevafā huuñ tum ho vafādār haañ durust
ai 'raaj aur baat baḌhāne se fā.eda
fikr-o-KHayal mein tumhein lane se faeda
KHud apne ghar mein aag lagane se faeda
baiThe biThae ji ko jalane se faeda
tamir-e-zindagi ko miTane se faeda
fariyaad-o-ah nala-o-shewan fuzul hain
shab ki KHamoshiyon ko jagane se faeda
pamal ho chuke hain ye andaz-e-ashiqi
yun sar kisi ke dar pe jhukane se faeda
achchha nahin hai ishq mein KHuddariyon ka KHun
jo KHud na aae us ko bulane se faeda
ishq aur KHayal-e-tan-e-zamana ghalat ghalat
aaKHir batao hum ko zamane se faeda
ashkon mein bah chuki hai nigah-e-jamal jo
ab be-naqab samne aane se faeda
gar jawedan nahin hai mohabbat to ai nadim
ye KHwab-e-zar-nigar dikhane se faeda
bahr-e-sukun mein Dub gai mauj-e-iztirab
sahil pe gham ka sog manane se faeda
main bewafa hun tum ho wafadar han durust
ai 'raj aur baat baDhane se faeda
Leave a comment