Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah wali

  • Ghazal


waqt bhi tewar badalta jaega


vaqt bhī tevar badaltā jā.egā
dil bhī apnī chaal chaltā jā.egā

rafta rafta umr Dhaltī jā.egī
aa.ine kā ruḳh badaltā jā.egā

jazba-e-īsār dil meñ ho agar
mas.aloñ kā hal nikaltā jā.egā

dūriyāñ bhī qurb bantī jā.eñgī
chāñd mere saath chaltā jā.egā

aap ko miltī rahegī raushnī
dil hamārā yuuñ hī jaltā jā.egā

ḳhūn-e-dil apnā ba-nām-e-añgbīñ
apne paimāne meñ Dhaltā jā.egā

us pe mashriq mehrbāñ hogī 'valī'
jo bhī gir gir kar sambhaltā jā.egā

waqt bhi tewar badalta jaega
dil bhi apni chaal chalta jaega

rafta rafta umr Dhalti jaegi
aaine ka ruKH badalta jaega

jazba-e-isar dil mein ho agar
masalon ka hal nikalta jaega

duriyan bhi qurb banti jaengi
chand mere sath chalta jaega

aap ko milti rahegi raushni
dil hamara yun hi jalta jaega

KHun-e-dil apna ba-nam-e-angbin
apne paimane mein Dhalta jaega

us pe mashriq mehrban hogi 'wali'
jo bhi gir gir kar sambhalta jaega


Leave a comment

+