Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Balbir Rathi

  • Ghazal


zarra zarra pighalne wala tha


zarra zarra pighalne vaalā thā
saarā manzar badalne vaalā thā

sabr ham se na ho sakā varna
apnī zid se vo Talne vaalā thā

zabt karte to ek ik zarra
raaz apnā ugalne vaalā thā

tum añdheroñ se Dar ga.e yuuñ hī
varna sūraj nikalne vaalā thā

tum ne achchhā kiyā jo thaam liyā
varna maiñ kab sambhalne vaalā thā

jo rahā ik harīf kī mānind
vo mire saath chalne vaalā thā

zehn meñ vo jo aks thā kab se
laakh shakloñ meñ Dhalne vaalā thā

zarra zarra pighalne wala tha
sara manzar badalne wala tha

sabr hum se na ho saka warna
apni zid se wo Talne wala tha

zabt karte to ek ek zarra
raaz apna ugalne wala tha

tum andheron se Dar gae yun hi
warna suraj nikalne wala tha

tum ne achchha kiya jo tham liya
warna main kab sambhalne wala tha

jo raha ek harif ki manind
wo mere sath chalne wala tha

zehn mein wo jo aks tha kab se
lakh shaklon mein Dhalne wala tha


Source: Book : Lahar Lahar (Pg. 78) Author : Balbir Rathee Publication : Kadambari Prakashan, Delhi (1993) Edition : 1993

Leave a comment

+