raah meñ yuuñ to marhale haiñ bahut
ham-safar phir bhī aa ga.e haiñ bahut
ye alag baat ham na DhūñDh sake
varna manzil ke rāste haiñ bahut
jin ko manzil na rāste kā pata
aise rahbar hameñ mile haiñ bahut
aao sūraj ko chhīn kar laa.eñ
ye añdhere to baḌh ga.e haiñ bahut
duur kī manzileñ haiñ nazroñ meñ
ab ke yāroñ ke hausle haiñ bahut
ik junūñ kā jo daur thā mujh par
us ke qisse hī ban ga.e haiñ bahut
baat kyā hai ki in dinoñ ham log
sochte kam haiñ bolte haiñ bahut
rah mein yun to marhale hain bahut
ham-safar phir bhi aa gae hain bahut
ye alag baat hum na DhunDh sake
warna manzil ke raste hain bahut
jin ko manzil na raste ka pata
aise rahbar hamein mile hain bahut
aao suraj ko chhin kar laen
ye andhere to baDh gae hain bahut
dur ki manzilen hain nazron mein
ab ke yaron ke hausle hain bahut
ek junun ka jo daur tha mujh par
us ke qisse hi ban gae hain bahut
baat kya hai ki in dinon hum log
sochte kam hain bolte hain bahut
Source: Book : Lahar Lahar (Pg. 60) Author : Balbir Rathee Publication : Kadambari Prakashan, Delhi (1993) Edition : 1993
Leave a comment