gar dost bhī sau jafā karegā
dushman bechāra kyā karegā
jab band-e-qabā vo vā karegā
gul chaak apnī qabā karegā
kar ke koī chaah kyā karegā
fariyād-o-fuġhāñ kyā karegā
daaġh apnā charāġh-e-ḳhāna-e-dil
tā sub.h-e-abad jalā karegā
juz be-kasī apnā aur hai kaun
jo da.avā-e-ḳhūñ-bahā karegā
sar-gashtagī kī na raah ho tai
jab tak ki na sar ko pā karegā
jab kaT ke giregā us ke pā par
sar sajda-e-shukr adā karegā
jab umr hī bevafā hai 'besabr'
phir kaun bhalā vafā karegā
gar dost bhi sau jafa karega
dushman bechaara kya karega
jab band-e-qaba wo wa karega
gul chaak apni qaba karega
kar ke koi chah kya karega
fariyaad-o-fughan kya karega
dagh apna charagh-e-KHana-e-dil
ta subh-e-abad jala karega
juz be-kasi apna aur hai kaun
jo dawa-e-KHun-baha karega
sar-gashtagi ki na rah ho tai
jab tak ki na sar ko pa karega
jab kaT ke girega us ke pa par
sar sajda-e-shukr ada karega
jab umr hi bewafa hai 'besabr'
phir kaun bhala wafa karega
Source:
Leave a comment