Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakul Dev

  • Ghazal


kam na hogi ye sargirani kya


kam na hogī ye sargirānī kyā
yuuñ hī guzregī zindagānī kyā

ashk pahle kahāñ nikalte the
ho ga.ī aag paanī paanī kyā

saare kirdār ek hī saf meñ
ḳhatm hone ko hai kahānī kyā

aa.ine meñ hai phir vahī sūrat
yuuñ hī hotī hai tarjumānī kyā

rabt kitnā hai do kināroñ meñ
koī dariyā hai darmiyānī kyā

muskurāhaT pe hairatī kī girah
aur khulne lage ma.ānī kyā

kam na hogi ye sargirani kya
yun hi guzregi zindagani kya

ashk pahle kahan nikalte the
ho gai aag pani pani kya

sare kirdar ek hi saf mein
KHatm hone ko hai kahani kya

aaine mein hai phir wahi surat
yun hi hoti hai tarjumani kya

rabt kitna hai do kinaron mein
koi dariya hai darmiyani kya

muskurahaT pe hairati ki girah
aur khulne lage maani kya


Leave a comment

+