Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakul Dev

  • Ghazal


go zara tez shuaen thin zara mand the hum


go zarā tez shuā.eñ thiiñ zarā mañd the ham
tū ne dekhā hī nahīñ ġhaur se har chand the ham

ham jo TuuTe haiñ batā haar bhalā kis kī huī
zindagī terī uThā.ī huī saugand the ham

aur bīmār hue jaate haiñ ḳhāmoshī se
ek āzār-e-suḳhan thā to tanomand the ham

tere ḳhat dekh ke aksar ye ḳhayāl aatā rahā
reshmīñ reshmīñ tahrīr pe paivand the ham

ye gayā saal bhī guzrā hai to yuuñ guzrā hai
dastakeñ thak ke sabhī lauT ga.iiñ band the ham

go zara tez shuaen thin zara mand the hum
tu ne dekha hi nahin ghaur se har chand the hum

hum jo TuTe hain bata haar bhala kis ki hui
zindagi teri uThai hui saugand the hum

aur bimar hue jate hain KHamoshi se
ek aazar-e-suKHan tha to tanomand the hum

tere KHat dekh ke aksar ye KHayal aata raha
reshmin reshmin tahrir pe paiwand the hum

ye gaya sal bhi guzra hai to yun guzra hai
dastaken thak ke sabhi lauT gain band the hum


Leave a comment

+