Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakul Dev

  • Ghazal


apna bigDa hua banaw liye


apnā bigḌā huā banāv liye
jī rahe haiñ vahī subhāv liye

shaam utrī hai phir ahāte meñ
jism par raushnī ke ghaav liye

sīdhī saadī sī raah thī mujh tak
tum ne nāhaq ka.ī ghumāv liye

dard ke qahr se laḌeñ kab tak
ik tire ruup kā alaav liye

log dariyā samajh rahe haiñ mujhe
mujh meñ sahrā hai ik bahāv liye

dil ne be-rañg hone se pahle
halke gahre ka.ī rachāv liye

tujh se kahnā thā kuchh pa lagtā hai
mar hī jā.eñge jī meñ chaav liye

apna bigDa hua banaw liye
ji rahe hain wahi subhaw liye

sham utri hai phir ahate mein
jism par raushni ke ghaw liye

sidhi sadi si rah thi mujh tak
tum ne nahaq kai ghumaw liye

dard ke qahr se laDen kab tak
ek tere rup ka alaw liye

log dariya samajh rahe hain mujhe
mujh mein sahra hai ek bahaw liye

dil ne be-rang hone se pahle
halke gahre kai rachaw liye

tujh se kahna tha kuchh pa lagta hai
mar hi jaenge ji mein chaw liye


Leave a comment

+