jo samajhnā chāhiye thā vo kahāñ samjhā thā maiñ
is jahān-e-rañg-o-bū ko ḳhāk-dāñ samjhā thā maiñ
vaqt kī Thokar ne zāhir kar diye jauhar mire
zindagī ko apnī sañg-e-rā.egāñ samjhā thā maiñ
us ne bhar dī jān-o-dil meñ ik na.ī tābindagī
jis nigāh-e-garm ko barq-e-tapāñ samjhā thā maiñ
apnī hī kotāh-dastī kā nikal aayā qusūr
kal jise be-mehrī-e-pīr-e-muġhāñ samjhā thā maiñ
jo samajhna chahiye tha wo kahan samjha tha main
is jahan-e-rang-o-bu ko KHak-dan samjha tha main
waqt ki Thokar ne zahir kar diye jauhar mere
zindagi ko apni sang-e-raegan samjha tha main
us ne bhar di jaan-o-dil mein ek nai tabindagi
jis nigah-e-garm ko barq-e-tapan samjha tha main
apni hi kotah-dasti ka nikal aaya qusur
kal jise be-mehri-e-pir-e-mughan samjha tha main
Source: Book : Shab Charagh (Pg. 127) Author : Bakhtiyar Ziya Publication : Markaz-e-adab (1993) Edition : 1993
Leave a comment