Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhtiyar Ziya

  • Ghazal


koi KHadsha hai na tufan bala kuchh bhi nahin


koī ḳhadsha hai na tūfān balā kuchh bhī nahīñ
ab na ġhamza hai na andāz-o-adā kuchh bhī nahīñ

ishq kahte haiñ kise husn hai kyā kuchh bhī nahīñ
merī āñkheñ tirī sūrat ke sivā kuchh bhī nahīñ

kab se vīrān paḌī hai mire dil kī duniyā
koī naġhma kisī paa.el kī sadā kuchh bhī nahīñ

zahr se kam nahīñ ye sāġhar-e-mai mere liye
tū nahīñ hai to ye mausam ye fazā kuchh bhī nahīñ

tere chehre pe qayāmat hai hayā kī surḳhī
rañg-e-gul rañg-e-shafaq rañg-e-hinā kuchh bhī nahīñ

koi KHadsha hai na tufan bala kuchh bhi nahin
ab na ghamza hai na andaz-o-ada kuchh bhi nahin

ishq kahte hain kise husn hai kya kuchh bhi nahin
meri aankhen teri surat ke siwa kuchh bhi nahin

kab se viran paDi hai mere dil ki duniya
koi naghma kisi pael ki sada kuchh bhi nahin

zahr se kam nahin ye saghar-e-mai mere liye
tu nahin hai to ye mausam ye faza kuchh bhi nahin

tere chehre pe qayamat hai haya ki surKHi
rang-e-gul rang-e-shafaq rang-e-hina kuchh bhi nahin


Source: Book : Shab Charagh (Pg. 133) Author : Bakhtiyar Ziya Publication : Markaz-e-adab (1993) Edition : 1993

Leave a comment

+