Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhsh Layalpuri

  • Ghazal


qatil hua KHamosh to talwar bol uThi


qātil huā ḳhamosh to talvār bol uThī
maqtal meñ ḳhūn-e-garm kī har dhaar bol uThī

pūchhā subuk saroñ kā numā.inda kaun hai
sun kar faqīh-e-shahr kī dastār bol uThī

ahl-e-sitam ke ḳhauf se jo chup thī vo zabāñ
jab bolne pe aa.ī sar-e-dār bol uThī

merī tabāhiyoñ kī hai is meñ ḳhabar zarūr
az ḳhud har ek surḳhi-e-aḳhbār bol uThī

chehra thā zaḳhm zaḳhm koī pūchhtā na thā
yūsuf bane to garmī-e-bāzār bol uThī

ik nāḳhudā hī yūrish-e-tūfāñ pe chup rahā
chappū kabhī to aur kabhī patvār bol uThī

kuchh is tarah se naqsh the īñToñ pe sāñche ke
zindāñ meñ mujh ko dekh ke dīvār bol uThī

qatil hua KHamosh to talwar bol uThi
maqtal mein KHun-e-garm ki har dhaar bol uThi

puchha subuk saron ka numainda kaun hai
sun kar faqih-e-shahr ki dastar bol uThi

ahl-e-sitam ke KHauf se jo chup thi wo zaban
jab bolne pe aai sar-e-dar bol uThi

meri tabahiyon ki hai is mein KHabar zarur
az KHud har ek surKHi-e-aKHbar bol uThi

chehra tha zaKHm zaKHm koi puchhta na tha
yusuf bane to garmi-e-bazar bol uThi

ek naKHuda hi yurish-e-tufan pe chup raha
chappu kabhi to aur kabhi patwar bol uThi

kuchh is tarah se naqsh the inTon pe sanche ke
zindan mein mujh ko dekh ke diwar bol uThi


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+