Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah Muhib

  • Ghazal


ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain


ba-tasḳhīr-e-butāñ tasbīh kyuuñ zāhid phirāte haiñ
ye lohe ke chane vallāh āshiq hī chabāte haiñ

banī hai juuñ guhar-sūrat suḳhan kī ahl-e-ma.anī se
ye nādāñ kahne sunñe ko abas bāteñ banāte haiñ

sadā se ishq kī lai bhar rahī hai jin ke kānoñ meñ
vo kab sunte haiñ ye nāseh jo apnā raag gaate haiñ

bahār aa.ī na chhūTe ham qafas se ham-safīr apne
chaman meñ chahchahe karte haiñ aur dhūmeñ machāte haiñ

ḳhudā se dostī terī magar ham ko milā degī
sanam nā-haq tire ham roz naktonDe uThāte haiñ

koī kaisā hī rūThā ho bulā lete haiñ ik pal meñ
ye zālim ḳhūb-rū sammukh ho jab āñkheñ laḌāte haiñ

sabā kis gul ke aane kī ḳhushī aisī hai gulshan meñ
ki gul jaame meñ aaj apne nahīñ phūle samāte haiñ

hañsāte haiñ tujhe sākin chaman ke kis ḳhushāmad se
ki bulbul hai ġhazal-ḳhvāñ chuTkiyāñ ġhunche bajāte haiñ

ham apne dil kī hālat kyā kaheñ bin maut marte haiñ
tujhe Tuk dekh lete haiñ to goyā jaan paate haiñ

garebāñ kā hamāre nāsehā mauqūf kar siinā
ki ham siine kā apne zaḳhm-e-kārī kab silāte haiñ

ummīd aane kī us ayyār ke ham ko nahīñ hargiz
ḳhayāl-e-ḳhām par apnī abas chhātī pakāte haiñ

tamāshā shaiḳh jī ke haal kā hai tohfa majlis meñ
zañbūrī haiñ murīd aur chauk meñ bandar nachāte haiñ

ham aisī goliyāñ kachchī nahīñ khele haiñ ye laḌke
jo chuTiyāle hue haiñ Tīp-Tāp un ko dikhāte haiñ

diloñ ke aa.ine ab ban ga.e haiñ sañg-o-āhan ke
ki mil kar jī meñ jagah deñ bichhaḌ kar bhuul jaate haiñ

bahut maare ga.e vaañ aur bahut zaḳhmī hue tis par
'muhib' kūche meñ us ke aaj ham phir dil jalāte haiñ

ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain
ye lohe ke chane wallah aashiq hi chabaate hain

bani hai jun guhar-surat suKHan ki ahl-e-mani se
ye nadan kahne sunne ko abas baaten banate hain

sada se ishq ki lai bhar rahi hai jin ke kanon mein
wo kab sunte hain ye naseh jo apna rag gate hain

bahaar aai na chhuTe hum qafas se ham-safir apne
chaman mein chahchahe karte hain aur dhumen machate hain

KHuda se dosti teri magar hum ko mila degi
sanam na-haq tere hum roz naktonDe uThate hain

koi kaisa hi ruTha ho bula lete hain ek pal mein
ye zalim KHub-ru sammukh ho jab aankhen laDate hain

saba kis gul ke aane ki KHushi aisi hai gulshan mein
ki gul jame mein aaj apne nahin phule samate hain

hansate hain tujhe sakin chaman ke kis KHushamad se
ki bulbul hai ghazal-KHwan chuTkiyan ghunche bajate hain

hum apne dil ki haalat kya kahen bin maut marte hain
tujhe Tuk dekh lete hain to goya jaan pate hain

gareban ka hamare naseha mauquf kar sina
ki hum sine ka apne zaKHm-e-kari kab silate hain

ummid aane ki us ayyar ke hum ko nahin hargiz
KHayal-e-KHam par apni abas chhati pakate hain

tamasha shaiKH ji ke haal ka hai tohfa majlis mein
zanburi hain murid aur chauk mein bandar nachate hain

hum aisi goliyan kachchi nahin khele hain ye laDke
jo chuTiyale hue hain Tip-Tap un ko dikhate hain

dilon ke aaine ab ban gae hain sang-o-ahan ke
ki mil kar ji mein jagah den bichhaD kar bhul jate hain

bahut mare gae wan aur bahut zaKHmi hue tis par
'muhib' kuche mein us ke aaj hum phir dil jalate hain


Source: Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 85) Author : Khvaja Mohammad Zakriya Publication : Sangat Publishers (2009) Edition : 2009 Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+