Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhsh Layalpuri

  • Ghazal


mashaqqat ka KHazana mangta hai


mashaqqat kā ḳhazāna māñgtā hai
mirī mehnat zamāna māñgtā hai

har ik lamha dil-e-āvāra-fitrat
masāfat kā ḳhazāna māñgtā hai

muqaddar se jise māñgā thā maiñ ne
use mujh se zamāna māñgtā hai

ajab pāgal hai mere man kā panchhī
qafas meñ āshiyāna māñgtā hai

hameñ har aan āmād-e-hijrat
hamārā āb-o-dāna māñgtā hai

sitam ye hai ki ham tishna-laboñ se
sitamgar ābyāna māñgtā hai

hamāre shahr kā mard-e-subuk-sar
kulāh-e-ḳhusravāna māñgtā hai

mirā har ik munāfiq yaar mujh se
ḳhulūs-e-dostāna māñgtā he

mashaqqat ka KHazana mangta hai
meri mehnat zamana mangta hai

har ek lamha dil-e-awara-fitrat
masafat ka KHazana mangta hai

muqaddar se jise manga tha main ne
use mujh se zamana mangta hai

ajab pagal hai mere man ka panchhi
qafas mein aashiyana mangta hai

hamein har aan aamad-e-hijrat
hamara aab-o-dana mangta hai

sitam ye hai ki hum tishna-labon se
sitamgar aabyana mangta hai

hamare shahr ka mard-e-subuk-sar
kulah-e-KHusrawana mangta hai

mera har ek munafiq yar mujh se
KHulus-e-dostana mangta he


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 248) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+