Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhsh Layalpuri

  • Ghazal


ataq-e-shab mein sahar ke charagh raushan kar


atāq-e-shab meñ sahar ke charāġh raushan kar
qabā-e-dil hī nahīñ dil ke daaġh raushan kar

kisī tarīq se taaza havā giraft meñ lā
kisī sabīl se apnā dimāġh raushan kar

mashām-e-jāñ meñ basā ḳhair-o-amn kī ḳhushbū
phir is mahak se mohabbat ke baaġh raushan kar

chhiḌak ke ḳhuun rag-e-dil haqīr zarroñ par
savād-e-manzil-e-jāñ ke surāġh raushan kar

salīb uThā ke kabhī kūcha-e-sitam meñ bhī chal
junūñ kī lau se bhī dasht-e-charāġh raushan kar

rah-e-hayāt meñ vahm-o-gumāñ ke saa.e haiñ
nazar meñ azm-o-yaqīñ ke ayāġh raushan kar

kabhī taqaddus-e-insān ke tū giit bhī gā
kabhī to dil meñ mohabbat kī aag raushan kar

ataq-e-shab mein sahar ke charagh raushan kar
qaba-e-dil hi nahin dil ke dagh raushan kar

kisi tariq se taza hawa giraft mein la
kisi sabil se apna dimagh raushan kar

masham-e-jaan mein basa KHair-o-amn ki KHushbu
phir is mahak se mohabbat ke bagh raushan kar

chhiDak ke KHun rag-e-dil haqir zarron par
sawad-e-manzil-e-jaan ke suragh raushan kar

salib uTha ke kabhi kucha-e-sitam mein bhi chal
junun ki lau se bhi dasht-e-charagh raushan kar

rah-e-hayat mein wahm-o-guman ke sae hain
nazar mein azm-o-yaqin ke ayagh raushan kar

kabhi taqaddus-e-insan ke tu git bhi ga
kabhi to dil mein mohabbat ki aag raushan kar


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 240) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+