Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahram Tariq

  • Ghazal


ham-kalami mein dar-o-diwar se


ham-kalāmī meñ dar-o-dīvār se
kitne jazbe rah ga.e iz.hār se

dhuup baḌhte hī judā ho jā.egā
sāya-e-dīvār bhī dīvār se

hijr kā lamha mukammal ho gayā
raushnī jab kaT ga.ī mīnār se

TuuT kar bikhre ḳhud apne sog meñ
dil lagā kar dard ke ruḳhsār se

nīm-vā galiyāñ churā kar laa.ī haiñ
kaisā sapnā dīda-e-bedār se

kitne hī māyūs lamhoñ ke bhañvar
ham ne naape zehn ke parkār se

umr bhar 'tāriq' ulajhte hī rahe
jism kī girtī huī dīvār se

ham-kalami mein dar-o-diwar se
kitne jazbe rah gae izhaar se

dhup baDhte hi juda ho jaega
saya-e-diwar bhi diwar se

hijr ka lamha mukammal ho gaya
raushni jab kaT gai minar se

TuT kar bikhre KHud apne sog mein
dil laga kar dard ke ruKHsar se

nim-wa galiyan chura kar lai hain
kaisa sapna dida-e-bedar se

kitne hi mayus lamhon ke bhanwar
hum ne nape zehn ke parkar se

umr bhar 'tariq' ulajhte hi rahe
jism ki girti hui diwar se


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 376) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+