jo hai yaañ āsā.ish-e-rañj-o-mehan meñ mast hai
kūcha-e-jānāñ meñ ham haiñ qais ban meñ mast hai
tere kūche meñ hai qātil raqs-gāh-e-āshiqāñ
koī ġhaltāñ sar-ba-kaf koī kafan meñ mast hai
mai-kade meñ bāda-kash but-ḳhāne meñ haiñ but-parast
jo hai aalam meñ vo apnī anjuman meñ mast hai
nik.hat-e-zulf-e-sanam se yaañ mo.attar hai dimāġh
koī mushk-chīñ koī mushk-e-ḳhutan meñ mast hai
hai koī mahv-e-namāz aur ḳhum-kade meñ koī mast
dil mirā ishq-e-butān-e-dil-shikan meñ mast hai
hai musalmāñ ko hamesha āb-e-zamzam kī talāsh
aur har ik barhaman gañg-o-jaman meñ mast hai
aks-e-rū-e-sham.a-rū hai mere dil meñ jā-guzīñ
dil mirā is ātish-e-lam.a-fagan meñ mast hai
hai mirā har sher-e-tar 'bahrām' kaisā pur-asar
jis ko dekho majlis-e-ahl-e-suḳhan meñ mast hai
jo hai yan aasaish-e-ranj-o-mehan mein mast hai
kucha-e-jaanan mein hum hain qais ban mein mast hai
tere kuche mein hai qatil raqs-gah-e-ashiqan
koi ghaltan sar-ba-kaf koi kafan mein mast hai
mai-kade mein baada-kash but-KHane mein hain but-parast
jo hai aalam mein wo apni anjuman mein mast hai
nikhat-e-zulf-e-sanam se yan moattar hai dimagh
koi mushk-chin koi mushk-e-KHutan mein mast hai
hai koi mahw-e-namaz aur KHum-kade mein koi mast
dil mera ishq-e-butan-e-dil-shikan mein mast hai
hai musalman ko hamesha aab-e-zamzam ki talash
aur har ek barhaman gang-o-jaman mein mast hai
aks-e-ru-e-shama-ru hai mere dil mein ja-guzin
dil mera is aatish-e-lama-fagan mein mast hai
hai mera har sher-e-tar 'bahram' kaisa pur-asar
jis ko dekho majlis-e-ahl-e-suKHan mein mast hai
Source: Deewan-e-Bahram
Leave a comment