Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahadur Shah Zafar

  • Ghazal


wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai


vaañ irāda aaj us qātil ke dil meñ aur hai
aur yahāñ kuchh aarzū bismil ke dil meñ aur hai

vasl kī Thahrāve zālim to kisī sūrat se aaj
varna Thahrī kuchh tire maa.il ke dil meñ aur hai

hai hilāl o badr meñ ik nuur par jo raushnī
dil meñ nāqis ke hai vo kāmil ke dil meñ aur hai

pahle to miltā hai dildārī se kyā kyā dilrubā
bāñdhtā mansūbe phir vo mil ke dil meñ aur hai

hai mujhe bād-az-savāl-e-bosa ḳhvāhish vasl kī
ye tamannā ek is saa.il ke dil meñ aur hai

go vo mahfil meñ na bolā pā ga.e chitvan se ham
aaj kuchh us raunaq-e-mahfil ke dil meñ aur hai

yuuñ to hai vo hī dil-e-ālam ke dil meñ ai 'zafar'
us kā aalam mard-e-sāhab dil ke dil meñ aur hai

wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai
aur yahan kuchh aarzu bismil ke dil mein aur hai

wasl ki Thahrawe zalim to kisi surat se aaj
warna Thahri kuchh tere mail ke dil mein aur hai

hai hilal o badr mein ek nur par jo raushni
dil mein naqis ke hai wo kaamil ke dil mein aur hai

pahle to milta hai dildari se kya kya dilruba
bandhta mansube phir wo mil ke dil mein aur hai

hai mujhe baad-az-sawal-e-bosa KHwahish wasl ki
ye tamanna ek is sail ke dil mein aur hai

go wo mahfil mein na bola pa gae chitwan se hum
aaj kuchh us raunaq-e-mahfil ke dil mein aur hai

yun to hai wo hi dil-e-alam ke dil mein ai 'zafar'
us ka aalam mard-e-sahab dil ke dil mein aur hai

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai Nomaan Shauque

Leave a comment

+