Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahadur Shah Zafar

  • Ghazal


sab rang mein us gul ki mere shan hai maujud


sab rañg meñ us gul kī mire shaan hai maujūd
ġhāfil tū zarā dekh vo har aan hai maujūd

har taar kā dāman ke mire kar ke tabarruk
sar-basta har ik ḳhār-e-bayābān hai maujūd

uryāni-e-tan hai ye ba-az-ḳhil.at-e-shāhī
ham ko ye tire ishq meñ sāmān hai maujūd

kis tarah lagāve koī dāmāñ ko tire haath
hone ko tū ab dast-o-garebān hai maujūd

letā hī rahā raat tire ruḳh kī balā.eñ
tū pūchh le ye zulf-e-pareshān hai maujūd

tum chashm-e-haqīqat se agar aap ko dekho
ā.īna-e-haq meñ dil-e-insān hai maujūd

kahtā hai 'zafar' haiñ ye suḳhan aage sabhoñ ke
jo koī yahāñ sāhib-e-irfān hai maujūd

sab rang mein us gul ki mere shan hai maujud
ghafil tu zara dekh wo har aan hai maujud

har tar ka daman ke mere kar ke tabarruk
sar-basta har ek KHar-e-bayaban hai maujud

uryani-e-tan hai ye ba-az-KHilat-e-shahi
hum ko ye tere ishq mein saman hai maujud

kis tarah lagawe koi daman ko tere hath
hone ko tu ab dast-o-gareban hai maujud

leta hi raha raat tere ruKH ki balaen
tu puchh le ye zulf-e-pareshan hai maujud

tum chashm-e-haqiqat se agar aap ko dekho
aaina-e-haq mein dil-e-insan hai maujud

kahta hai 'zafar' hain ye suKHan aage sabhon ke
jo koi yahan sahib-e-irfan hai maujud


Leave a comment

+