Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahadur Shah Zafar

  • Ghazal


gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai


ga.ī yak-ba-yak jo havā palaT nahīñ dil ko mere qarār hai
karūñ us sitam ko maiñ kyā bayāñ mirā ġham se siina figār hai

ye re.āyā-e-hind tabah huī kahūñ kyā jo in pe jafā huī
jise dekhā hākim-e-vaqt ne kahā ye bhī qābil-e-dār hai

ye kisī ne zulm bhī hai sunā ki dī phāñsī logoñ ko be-gunāh
vahī kalma-goyoñ kī samt se abhī dil meñ un ke buḳhār hai

na thā shahr-e-dehlī ye thā chaman kaho kis tarah kā thā yaañ aman
jo ḳhitāb thā vo miTā diyā faqat ab to ujḌā dayār hai

yahī tañg haal jo sab kā hai ye karishma qudrat-e-rab kā hai
jo bahār thī so ḳhizāñ huī jo ḳhizāñ thī ab vo bahār hai

shab-o-roz phuul meñ jo tule kaho ḳhār-e-ġham ko vo kyā sahe
mile tauq qaid meñ jab unheñ kahā gul ke badle ye haar hai

sabhī jaada mātam-e-saḳht hai kaho kaisī gardish-e-baḳht hai
na vo taaj hai na vo taḳht hai na vo shaah hai na dayār hai

jo sulūk karte the aur se vahī ab haiñ kitne zalīl se
vo haiñ tañg charḳh ke jaur se rahā tan pe un ke na taar hai

na vabāl tan pe hai sar mirā nahīñ jaan jaane kā Dar zarā
kaTe ġham hii, nikle jo dam mirā mujhe apnī zindagī baar hai

kyā hai ġham 'zafar' tujhe hashr kā jo ḳhudā ne chāhā to barmalā
hameñ hai vasīla rasūl kā vo hamārā hāmī-e-kār hai

gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai
karun us sitam ko main kya bayan mera gham se sina figar hai

ye reaya-e-hind tabah hui kahun kya jo in pe jafa hui
jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye bhi qabil-e-dar hai

ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phansi logon ko be-gunah
wahi kalma-goyon ki samt se abhi dil mein un ke buKHar hai

na tha shahr-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yan aman
jo KHitab tha wo miTa diya faqat ab to ujDa dayar hai

yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai
jo bahaar thi so KHizan hui jo KHizan thi ab wo bahaar hai

shab-o-roz phul mein jo tule kaho KHar-e-gham ko wo kya sahe
mile tauq qaid mein jab unhen kaha gul ke badle ye haar hai

sabhi jada matam-e-saKHt hai kaho kaisi gardish-e-baKHt hai
na wo taj hai na wo taKHt hai na wo shah hai na dayar hai

jo suluk karte the aur se wahi ab hain kitne zalil se
wo hain tang charKH ke jaur se raha tan pe un ke na tar hai

na wabaal tan pe hai sar mera nahin jaan jaane ka Dar zara
kaTe gham hi, nikle jo dam mera mujhe apni zindagi bar hai

kya hai gham 'zafar' tujhe hashr ka jo KHuda ne chaha to barmala
hamein hai wasila rasul ka wo hamara hami-e-kar hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Mukesh

Leave a comment

+