Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahadur Shah Zafar

  • Ghazal


dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD


dekh dil ko mire o kāfir-e-be-pīr na toḌ
ghar hai allāh kā ye is kī to ta.amīr na toḌ

ġhul sadā vādī-e-vahshat meñ rakhūñgā barpā
ai junūñ dekh mire paañv kī zanjīr na toḌ

dekh Tuk ġhaur se ā.īna-e-dil ko mere
is meñ aatā hai nazar ālam-e-tasvīr na toḌ

tāj-e-zar ke liye kyuuñ sham.a kā sar kaaTe hai
rishta-e-ulfat-e-parvāna ko gul-gīr na toḌ

apne bismil se ye kahtā thā dam-e-naz.a vo shoḳh
thā jo kuchh ahd so o āshiq-e-dil-gīr na toḌ

raqs-e-bismil kā tamāshā mujhe dikhlā koī dam
dast o pā maar ke dam tū tah-e-shamshīr na toḌ

saham kar ai 'zafar' us shoḳh kamāñ-dār se kah
khīñch kar dekh mire siine se tū tiir na toḌ

dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD
ghar hai allah ka ye is ki to tamir na toD

ghul sada wadi-e-wahshat mein rakhunga barpa
ai junun dekh mere panw ki zanjir na toD

dekh Tuk ghaur se aaina-e-dil ko mere
is mein aata hai nazar aalam-e-taswir na toD

taj-e-zar ke liye kyun shama ka sar kaTe hai
rishta-e-ulfat-e-parwana ko gul-gir na toD

apne bismil se ye kahta tha dam-e-naza wo shoKH
tha jo kuchh ahd so o aashiq-e-dil-gir na toD

raqs-e-bismil ka tamasha mujhe dikhla koi dam
dast o pa mar ke dam tu tah-e-shamshir na toD

saham kar ai 'zafar' us shoKH kaman-dar se kah
khinch kar dekh mere sine se tu tir na toD

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD Nomaan Shauque

Leave a comment

+