Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahadur Shah Zafar

  • Ghazal


lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein


lagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñ
kis kī banī hai ālam-e-nā-pā.edār meñ

my heart, these dismal ruins, cannot now placate
who can find sustenance in this unstable state

kah do in hasratoñ se kahīñ aur jā baseñ
itnī jagah kahāñ hai dil-e-dāġh-dār meñ

desires should be told to find some alternate
this scarred heart has no room to accomodate

kāñToñ ko mat nikāl chaman se o bāġhbāñ
ye bhī guloñ ke saath pale haiñ bahār meñ

a long life, four days in all, I did negotiate
two were spent in hope and two were spent in wait

bulbul ko bāġhbāñ se na sayyād se gila
qismat meñ qaid likkhī thī fasl-e-bahār meñ

---
---

kitnā hai bad-nasīb 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamīn bhī na milī kū-e-yār meñ

---
---

lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein

my heart, these dismal ruins, cannot now placate
who can find sustenance in this unstable state

kah do in hasraton se kahin aur ja basen
itni jagah kahan hai dil-e-dagh-dar mein

desires should be told to find some alternate
this scarred heart has no room to accomodate

kanTon ko mat nikal chaman se o baghban
ye bhi gulon ke sath pale hain bahaar mein

a long life, four days in all, I did negotiate
two were spent in hope and two were spent in wait

bulbul ko baghban se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein

---
---

kitna hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar mein

---
---

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Mohammad Rafi Habib Wali Mohammad Mohammad Rafi RECITATIONS Habib Wali Mohammad



00:00/00:00 lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein Habib Wali Mohammad

Leave a comment

+