fikr-e-ahl-e-hunar pe baiThī hai
shā.irī sīm-o-zar pe baiThī hai
pahle hāthoñ meñ haath rahtā thā
zindagī ab kamar pe baiThī hai
sahmī sahmī huī sī har ḳhvāhish
dil-e-vahshat-asar pe baiThī hai
phuul kāñToñ ke beach rahte haiñ
ḳhushbū titlī ke par pe baiThī hai
āstīneñ TaTol kar dekho
dostī kis Dagar pe baiThī hai
fikr-e-ahl-e-hunar pe baiThi hai
shairi sim-o-zar pe baiThi hai
pahle hathon mein hath rahta tha
zindagi ab kamar pe baiThi hai
sahmi sahmi hui si har KHwahish
dil-e-wahshat-asar pe baiThi hai
phul kanTon ke beach rahte hain
KHushbu titli ke par pe baiThi hai
aastinen TaTol kar dekho
dosti kis Dagar pe baiThi hai
Source: Book : TO MAIN KAHAN HOON (POETRY) (Pg. 80) Author : Badr Wasti Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (2010) Edition : 2010
Leave a comment