zahar piye mad.hosh añdherī raat
nāgin sī ḳhāmosh añdherī raat
din kī sūrat mujh ko bhī khā jā aa kar
maiñ bhī huuñ behosh añdherī raat
shahroñ meñ ḳhāmoshī hī ḳhāmoshī thī
tūfāñ thā pur-josh añdherī raat
kyā jaane kis ne oḌhā merā paikar
maiñ ḳhvāb-e-ḳhargosh añdherī raat
chāñdī jaisī kirneñ mujh par mat Daalo
merā to sar-posh añdherī raat
niiñd kahāñ mere ghar aa.egī 'badnām'
maiñ ḳhāna-bar-dosh añdherī raat
zahar piye madhosh andheri raat
nagin si KHamosh andheri raat
din ki surat mujh ko bhi kha ja aa kar
main bhi hun behosh andheri raat
shahron mein KHamoshi hi KHamoshi thi
tufan tha pur-josh andheri raat
kya jaane kis ne oDha mera paikar
main KHwab-e-KHargosh andheri raat
chandi jaisi kirnen mujh par mat Dalo
mera to sar-posh andheri raat
nind kahan mere ghar aaegi 'badnam'
main KHana-bar-dosh andheri raat
Leave a comment