Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badiuzzaman Khawar

  • Ghazal


jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai


jise bhī dekhiye pyāsā dikhā.ī detā hai
koī maqām ho sahrā dikhā.ī detā hai

na jaane kaun hai vo vaqt-e-shām jo akasr
galī ke moḌ pe baiThā dikhā.ī detā hai

jo chāñdnī meñ nahāte hue bhī Dartā thā
vo jism dhuup meñ jaltā dikhā.ī detā hai

pahuñch rahī hai jahāñ tak nigāh saḌkoñ par
na koī peḌ na saaya dikhā.ī detā hai

kanār-e-āb na baiTho ki jhiil meñ 'ḳhāvar'
tumhārā aks bhī ulTā dikhā.ī detā hai

jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai
koi maqam ho sahra dikhai deta hai

na jaane kaun hai wo waqt-e-sham jo akasr
gali ke moD pe baiTha dikhai deta hai

jo chandni mein nahate hue bhi Darta tha
wo jism dhup mein jalta dikhai deta hai

pahunch rahi hai jahan tak nigah saDkon par
na koi peD na saya dikhai deta hai

kanar-e-ab na baiTho ki jhil mein 'KHawar'
tumhaara aks bhi ulTa dikhai deta hai


Source: Huroof

Leave a comment

+