Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badiuzzaman Khawar

  • Ghazal


hai bahut mushkil nikalna shahr ke bazar mein


hai bahut mushkil nikalnā shahr ke bāzār meñ
jab se jakḌā huuñ maiñ kamre ke dar-o-dīvār meñ

chhe baras ke ba.ad ik suune makāñ ke bām-o-dar
bas ga.e haiñ phir kisī ke jism kī mahkār meñ

mujh ko apne jism se bāhar nikalnā chāhiye
varna merā dam ghuTegā is añdhere ġhaar meñ

yaad use ik pal bhī karne kī mujhe fursat nahīñ
mubtalā sadiyoñ se merā dil hai jis ke pyaar meñ

dekhte haiñ log jab 'ḳhāvar' purānī aañkh se
kyā nazar aa.e koī ḳhūbī na.e fankār meñ

hai bahut mushkil nikalna shahr ke bazar mein
jab se jakDa hun main kamre ke dar-o-diwar mein

chhe baras ke baad ek sune makan ke baam-o-dar
bas gae hain phir kisi ke jism ki mahkar mein

mujh ko apne jism se bahar nikalna chahiye
warna mera dam ghuTega is andhere ghaar mein

yaad use ek pal bhi karne ki mujhe fursat nahin
mubtala sadiyon se mera dil hai jis ke pyar mein

dekhte hain log jab 'KHawar' purani aankh se
kya nazar aae koi KHubi nae fankar mein


Source: Huroof

Leave a comment

+