Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badiuzzaman Khawar

  • Ghazal


khaDa tha kaun kahan kuchh pata chala hi nahin


khaḌā thā kaun kahāñ kuchh patā chalā hī nahīñ
maiñ rāste meñ kisī moḌ par rukā hī nahīñ

havā.eñ tez thiiñ itnī ki ek dil ke sivā
koī charāġh sar-e-rahguzar jalā hī nahīñ

kahāñ se ḳhanjar-o-shamshīr āzmātā maiñ
mire adū se mirā sāmnā huā hī nahīñ

dukhoñ kī aag meñ har shaḳhs jal ke raakh huā
kisī ġharīb ke dil se dhuāñ uThā hī nahīñ

hamārā shahr-e-tamannā bahut hasīñ thā magar
ujaḌ ke rah gayā aisā ki phir basā hī nahīñ

vo ban gayā mirā nāqid patā nahīñ kyuuñ kar
mirā kalām to us ne kabhī paḌhā hī nahīñ

maiñ apne daur kī āvāz thā magar 'ḳhāvar'
kisī ne bazm-e-jahāñ meñ mujhe sunā hī nahīñ

khaDa tha kaun kahan kuchh pata chala hi nahin
main raste mein kisi moD par ruka hi nahin

hawaen tez thin itni ki ek dil ke siwa
koi charagh sar-e-rahguzar jala hi nahin

kahan se KHanjar-o-shamshir aazmata main
mere adu se mera samna hua hi nahin

dukhon ki aag mein har shaKHs jal ke rakh hua
kisi gharib ke dil se dhuan uTha hi nahin

hamara shahr-e-tamanna bahut hasin tha magar
ujaD ke rah gaya aisa ki phir basa hi nahin

wo ban gaya mera naqid pata nahin kyun kar
mera kalam to us ne kabhi paDha hi nahin

main apne daur ki aawaz tha magar 'KHawar'
kisi ne bazm-e-jahan mein mujhe suna hi nahin


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+