tum ko maiñ jab salām kartā huuñ
tab fuġhāñ gaam gaam kartā huuñ
ġhuncha-o-gul kī ḳhasta-hālī kā
zikr meñ sub.h-o-shām kartā huuñ
be-sutūñ kaaT kar khaḌā huuñ maiñ
kohkan jaise kaam kartā huuñ
ātish-e-ishq jab jalātī hai
jal ke maiñ nosh-e-jām kartā huuñ
sher hotā nahīñ hai jab 'bābar'
us kā kuchh ehtimām kartā huuñ
tum ko main jab salam karta hun
tab fughan gam gam karta hun
ghuncha-o-gul ki KHasta-haali ka
zikr mein subh-o-sham karta hun
be-sutun kaT kar khaDa hun main
kohkan jaise kaam karta hun
aatish-e-ishq jab jalati hai
jal ke main nosh-e-jam karta hun
sher hota nahin hai jab 'babar'
us ka kuchh ehtimam karta hun
Leave a comment