dil ne ham se ajab hī kaam liyā
ham ko bechā magar na daam liyā
dil se āḳhir charāġh-e-vasl bujhā
kyā tamannā ne intiqām liyā
phir kabhī vo na aa.ī ham ko nazar
jis parī-rū kā ham ne naam liyā
terī ḳhātir hanūz ham ne yahāñ
laakh ilzām apne naam liyā
tā-dam-e-marg ishq jiitā rahā
gor meñ bhī mirā salām liyā
dil ne hum se ajab hi kaam liya
hum ko becha magar na dam liya
dil se aaKHir charagh-e-wasl bujha
kya tamanna ne intiqam liya
phir kabhi wo na aai hum ko nazar
jis pari-ru ka hum ne nam liya
teri KHatir hanuz hum ne yahan
lakh ilzam apne nam liya
ta-dam-e-marg ishq jita raha
gor mein bhi mera salam liya
Leave a comment