Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Babar Rahman Shah

  • Ghazal


dastan-e-gham tujhe batlaen kya


dāstān-e-ġham tujhe batlā.eñ kyā
zaḳhm siine ke tujhe dikhlā.eñ kyā

sochte haiñ bhuul jaa.eñ sarzanish
muddatoñ kī baat ab jatlā.eñ kyā

log us kī baat to sunte nahīñ
ḳhizr ko jañgal se ham bulvā.eñ kyā

roz tum va.ada nayā le lete ho
paas in va.adoñ kā ham rakh paa.eñ kyā

muflisī ne jā-ba-jā luuTā hameñ
ab bachā kuchh bhī nahīñ luTvā.eñ kyā

dastan-e-gham tujhe batlaen kya
zaKHm sine ke tujhe dikhlaen kya

sochte hain bhul jaen sarzanish
muddaton ki baat ab jatlaen kya

log us ki baat to sunte nahin
KHizr ko jangal se hum bulwaen kya

roz tum wada naya le lete ho
pas in wadon ka hum rakh paen kya

muflisi ne ja-ba-ja luTa hamein
ab bacha kuchh bhi nahin luTwaen kya


Leave a comment

+