Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Babar Ali Asad

  • Ghazal


teri aawaz par ruke hi nahin


tirī āvāz par ruke hī nahīñ
so ka.ī vāqiye hue hī nahīñ

us ne jitne diye maiñ le aayā
muft ke saañs the gine hī nahīñ

mo.ajize vaqt par nahīñ hote
sānehe vaqt dekhte hī nahīñ

jhūTh hai dil-ba-dar kiye ga.e haiñ
sach kaheñ ham vahāñ pe the hī nahīñ

sab haqīqat-pasand ho ga.e haiñ
log ab ḳhvāb dekhte hī nahīñ

jo tire naam meñ nahīñ aate
aise harfoñ ko jānte hī nahīñ

ris rahe haiñ jagah jagah se 'asad'
us ne kuchh zaḳhm to siye hī nahīñ

teri aawaz par ruke hi nahin
so kai waqiye hue hi nahin

us ne jitne diye main le aaya
muft ke sans the gine hi nahin

moajize waqt par nahin hote
sanehe waqt dekhte hi nahin

jhuTh hai dil-ba-dar kiye gae hain
sach kahen hum wahan pe the hi nahin

sab haqiqat-pasand ho gae hain
log ab KHwab dekhte hi nahin

jo tere nam mein nahin aate
aise harfon ko jaante hi nahin

ris rahe hain jagah jagah se 'asad'
us ne kuchh zaKHm to siye hi nahin


Leave a comment

+