Subscribe to our newsletter and get our newest updates

B S Jain Jauhar

  • Ghazal


phir kisi shaKHs ki yaad aai hai


phir kisī shaḳhs kī yaad aa.ī hai
phir koī choT ubhar aa.ī hai

phir vo sāvan kī ghaTā chhā.ī hai
phir mirī jaan pe ban aa.ī hai

maslahat aur kahīñ laa.ī hai
dil kisī aur kā shaidā.ī hai

ab na rone kī qasam khaa.ī hai
aañkh bhar aa.e to rusvā.ī hai

ek hañgāma-e-dīdār ke ba.ad
phir vahī ġham vahī tanhā.ī hai

phir kisi shaKHs ki yaad aai hai
phir koi choT ubhar aai hai

phir wo sawan ki ghaTa chhai hai
phir meri jaan pe ban aai hai

maslahat aur kahin lai hai
dil kisi aur ka shaidai hai

ab na rone ki qasam khai hai
aankh bhar aae to ruswai hai

ek hangama-e-didar ke baad
phir wahi gham wahi tanhai hai


Source: Book : Tarana-e-Bedari (Pg. 188) Author : B.S.Jain 'Jauhar' Publication : Navrang Kitab Ghar (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+