Subscribe to our newsletter and get our newest updates

B S Jain Jauhar

  • Ghazal


meri har baat pe be-baat KHafa hote ho


merī har baat pe be-bāt ḳhafā hote ho
jaane kyā baat hai din-rāt ḳhafā hote ho

chup raheñ vaqt-e-mulāqāt ḳhafā hote ho
pūchh leñ bhuul se hālāt ḳhafā hote ho

baat ġhairoñ se to hañs hañs ke kiyā karte ho
ham se hote hī mulāqāt ḳhafā hote ho

duur hote ho to nārāz rahā karte ho
paas rahte ho to din raat ḳhafā hote ho

jāntā huuñ ki tumheñ pyaar nahīñ hai mujh se
kyā ba-majbūrī-e-hālāt ḳhafā hote ho

meri har baat pe be-baat KHafa hote ho
jaane kya baat hai din-raat KHafa hote ho

chup rahen waqt-e-mulaqat KHafa hote ho
puchh len bhul se haalat KHafa hote ho

baat ghairon se to hans hans ke kiya karte ho
hum se hote hi mulaqat KHafa hote ho

dur hote ho to naraaz raha karte ho
pas rahte ho to din raat KHafa hote ho

jaanta hun ki tumhein pyar nahin hai mujh se
kya ba-majburi-e-haalat KHafa hote ho


Source: Book : Tarana-e-bedari (Pg. 170) Author : B.S.Jain Jauhar Publication : Navrang Kitab Ghar 259,A, Pocket-1 Mayur Vihar Phase-1, Delhi-110091 (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+