Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Aziz Khalid

  • Ghazal


fath kitni KHub-surat hai magar kitni garan


fat.h kitnī ḳhūb-sūrat hai magar kitnī garāñ
bārhā rad kī hai maiñ ne dāvat-e-vasl-e-butāñ

naġhma-e-bulbul hai faryād-e-vidā-e-fasl-e-gul
sa.ī-e-hāsil dar-haqīqat hai matā-e-rā.egāñ

zinda rahne ke haiñ imkānāt kyā āsār kyā
kaun sī qadreñ haiñ baaqī kaun sī sachchā.iyāñ

shā.iroñ kā kaam kyā tansīq-e-ausāf-o-luġhūt
yā sanā shāhoñ kī yā mad.h-e-sarāpā-e-butāñ

zahr hai fan ke liye darbār-dārī kā mizāj
kam-tarīn-e-shart-e-goyā.ī hai iḳhlās-e-bayāñ

tere hāthoñ par lagā hai be-gunāhoñ kā lahū
jām-e-jam meñ mai nahīñ ḳhūn-e-siyādish hai muġhāñ

maiñ to piitā huuñ faqat gulnār hoñToñ kī sharāb
sabbeh-ism-e-rabbekal-ālā rahe vird-e-zabāñ

ḳhatm haiñ is shoḳh rā.anā par tarah-dārī ke rañg
qadd-e-bālā jis kā hai rashk-e-qazīb-e-ḳhaizrāñ

jhanjhanā uThne ko haiñ betāb tan biinā ke taar
kaun laa.e taab husn-e-be-hijāb-e-mah-vashāñ

be-niyāz-e-harf hai guftār-e-chashm-e-pur-suḳhan
darmiyān-e-mahramān-e-jāñ hai nā-mahram zabāñ

koī tanhā.ī kā gosha koī kunj-e-āfiyat
āshiq-o-māshūq yakjā hoñ kahāñ ai āsmāñ

ai muhibbo rāh-e-ulfat meñ har ik shai hai mubāh
kis ne khīñchā hai ḳhat-e-hijrāñ tumhāre darmiyāñ

titliyāñ dekhī haiñ baiThī ḳhushk phūloñ par kabhī
hājateñ apnī karo tum ḳhūb-rūoñ se bayāñ

ham ne nīndeñ de ke rātoñ se ḳharīde ratjage
ham se kam hoñge ukāz-e-dahr meñ bāzārgāñ

rāt-din sunte haiñ tasvīlāt-e-arbāb-e-hasad
ehtiyāj-e-dushmanāñ bhī hai hunar ko be-gumāñ

jaane kin auqāt meñ likhtā thā qānūn-o-shifā
bū-alī-sīnā vo maqtūl-e-muġhāñ sheva-butāñ

maut se vahshat hai logoñ ko mohabbat maal se
bāñg-e-be-hañgām hai kūs-e-rahīl-e-kārvāñ

hai qarīb ai shab zarā sub.h-e-qayāmat kā tulūa
TūTne ko hai azal-tābāñ tanāb-e-kahkashāñ

tum akele aa.e duniyā meñ akele jāoge
zindagī ik pal hai kyā pul par banāte ho makāñ

ḳhizr zinda hai magar zindānī-e-umr-e-abad
ai ajal kis kaam kī aisī hayāt-e-jāvidāñ

maiñ bhī huuñ mānind māmūñ ke amīr-ul-kāfrīñ
bas-ki huuñ vārafta-e-fikr-o-fan-e-yūnāniyāñ

hai sulaimāñ kī taraf vāqif lisān-uttair se
shā.ir-e-zohra-nigāhāñ ḳhālid-e-uqda-zabāñ

go harīm-e-āgahī kī shakl bhī dekhī nahīñ
hai ba-zom-e-ḳhvesh dānā-e-rumūz-e-kun-fakāñ

fath kitni KHub-surat hai magar kitni garan
barha rad ki hai main ne dawat-e-wasl-e-butan

naghma-e-bulbul hai faryaad-e-wida-e-fasl-e-gul
sai-e-hasil dar-haqiqat hai mata-e-raegan

zinda rahne ke hain imkanat kya aasar kya
kaun si qadren hain baqi kaun si sachchaiyan

shairon ka kaam kya tansiq-e-ausaf-o-lughut
ya sana shahon ki ya madh-e-sarapa-e-butan

zahr hai fan ke liye darbar-dari ka mizaj
kam-tarin-e-shart-e-goyai hai iKHlas-e-bayan

tere hathon par laga hai be-gunahon ka lahu
jam-e-jam mein mai nahin KHun-e-siyaadish hai mughan

main to pita hun faqat gulnar honTon ki sharab
sabbeh-ism-e-rabbekal-ala rahe wird-e-zaban

KHatm hain is shoKH raana par tarah-dari ke rang
qadd-e-baala jis ka hai rashk-e-qazib-e-KHaizran

jhanjhana uThne ko hain betab tan bina ke tar
kaun lae tab husn-e-be-hijab-e-mah-washan

be-niyaz-e-harf hai guftar-e-chashm-e-pur-suKHan
darmiyan-e-mahraman-e-jaan hai na-mahram zaban

koi tanhai ka gosha koi kunj-e-afiyat
aashiq-o-mashuq yakja hon kahan ai aasman

ai muhibbo rah-e-ulfat mein har ek shai hai mubah
kis ne khincha hai KHat-e-hijran tumhaare darmiyan

titliyan dekhi hain baiThi KHushk phulon par kabhi
hajaten apni karo tum KHub-ruon se bayan

hum ne ninden de ke raaton se KHaride ratjage
hum se kam honge ukaz-e-dahr mein bazargan

raat-din sunte hain taswilat-e-arbab-e-hasad
ehtiyaj-e-dushmanan bhi hai hunar ko be-guman

jaane kin auqat mein likhta tha qanun-o-shifa
bu-ali-sina wo maqtul-e-mughan shewa-butan

maut se wahshat hai logon ko mohabbat mal se
bang-e-be-hangam hai kus-e-rahil-e-karwan

hai qarib ai shab zara subh-e-qayamat ka tulua
TuTne ko hai azal-taban tanab-e-kahkashan

tum akele aae duniya mein akele jaoge
zindagi ek pal hai kya pul par banate ho makan

KHizr zinda hai magar zindani-e-umr-e-abad
ai ajal kis kaam ki aisi hayat-e-jawidan

main bhi hun manind mamun ke amir-ul-kafrin
bas-ki hun warafta-e-fikr-o-fan-e-yunaniyan

hai sulaiman ki taraf waqif lisan-uttair se
shair-e-zohra-nigahan KHalid-e-uqda-zaban

go harim-e-agahi ki shakl bhi dekhi nahin
hai ba-zom-e-KHwesh dana-e-rumuz-e-kun-fakan


Source: Book : siip (Magzin) (Pg. 226) Author : Nasiim Durraani Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly)) Edition : 39 (Quarterly)

Leave a comment

+