Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Aziz Fitrat

  • Ghazal


kuchh aisa tha gumrahi ka saya


kuchh aisā thā gumrahī kā saayā
apnā hī patā na ham ne paayā

dil kis ke jamāl meñ huā gum
aksar ye ḳhayāl hī na aayā

ham to tire zikr kā hue juzv
tū ne hameñ kis tarah bhulāyā

ai dost tirī nazar se merā
aivān-e-nigāh jag muskāyā

ḳhurshed usī ko ham ne jaanā
jo zarra zamīñ pe muskurāyā

maqsūd thī tāzgī chaman kī
ham ne rag-e-jāñ se ḳhuuñ bahāyā

uftād hai sab kī apnī apnī
kis ne hai kisī kā ġham baTāyā

marūmī-e-jāvedāñ hai aur maiñ
maiñ zauq-e-talab se baaz aayā

har ġham pe hai mere naam kī mahr
'fitrat' koī ġham nahīñ parāyā

kuchh aisa tha gumrahi ka saya
apna hi pata na hum ne paya

dil kis ke jamal mein hua gum
aksar ye KHayal hi na aaya

hum to tere zikr ka hue juzw
tu ne hamein kis tarah bhulaya

ai dost teri nazar se mera
aiwan-e-nigah jag muskaya

KHurshed usi ko hum ne jaana
jo zarra zamin pe muskuraya

maqsud thi tazgi chaman ki
hum ne rag-e-jaan se KHun bahaya

uftad hai sab ki apni apni
kis ne hai kisi ka gham baTaya

marumi-e-jawedan hai aur main
main zauq-e-talab se baz aaya

har gham pe hai mere nam ki mahr
'fitrat' koi gham nahin paraya


Source: Ham Qalam (Monthly)áVol. No.02áâIssue 06-07

Leave a comment

+