Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


shikasta-KHwab-o-shikasta-pa hun mujhe duaon mein yaad rakhna


shikasta-ḳhvāb-o-shikasta-pā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
maiñ āḳhirī jañg laḌ rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā

havā.eñ paiġhām de ga.ī haiñ ki mujh ko dariyā bulā rahā hai
maiñ baat saarī samajh gayā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā

na jaane kuufe ko kyā ḳhabar ho na jaane kis dasht meñ basar ho
maiñ phir madīne se jā rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā

mujhe azīzān-e-man mohabbat kā koī bhī tajraba nahīñ hai
maiñ is safar meñ nayā nayā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā

mujhe kis se bhalā.ī kī ab koī tavaqqo.a nahīñ hai 'tābish'
maiñ ādatan sab se kah rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā

shikasta-KHwab-o-shikasta-pa hun mujhe duaon mein yaad rakhna
main aaKHiri jang laD raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna

hawaen paigham de gai hain ki mujh ko dariya bula raha hai
main baat sari samajh gaya hun mujhe duaon mein yaad rakhna

na jaane kufe ko kya KHabar ho na jaane kis dasht mein basar ho
main phir madine se ja raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna

mujhe azizan-e-man mohabbat ka koi bhi tajraba nahin hai
main is safar mein naya naya hun mujhe duaon mein yaad rakhna

mujhe kis se bhalai ki ab koi tawaqqoa nahin hai 'tabish'
main aadatan sab se kah raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 469) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+