Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai


vo aane vaalā nahīñ phir bhī aanā chāhtā hai
magar vo koī munāsib bahānā chāhtā hai

ye zindagī hai ye to hai ye rozgār ke dukh
abhī batā de kahāñ āzmānā chāhtā hai

ki jaise us se mulāqāt phir nahīñ hogī
vo saarī bāteñ ikaTThī batānā chāhtā hai

maiñ sun rahā huuñ añdhere meñ āhaTeñ kaisī
ye kaun aayā hai aur kaun jaanā chāhtā hai

use ḳhabar hai ki majnūñ ko raas hai jañgal
vo mere ghar meñ bhī paude lagānā chāhtā hai

vo ḳhud-ġharaz hai mohabbat ke baab meñ 'tābish'
ki ek pal ke evaz ik zamāna chāhtā hai

wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai
magar wo koi munasib bahana chahta hai

ye zindagi hai ye to hai ye rozgar ke dukh
abhi bata de kahan aazmana chahta hai

ki jaise us se mulaqat phir nahin hogi
wo sari baaten ikaTThi batana chahta hai

main sun raha hun andhere mein aahaTen kaisi
ye kaun aaya hai aur kaun jaana chahta hai

use KHabar hai ki majnun ko ras hai jangal
wo mere ghar mein bhi paude lagana chahta hai

wo KHud-gharaz hai mohabbat ke bab mein 'tabish'
ki ek pal ke ewaz ek zamana chahta hai


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 255) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+