Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


na tujhse hai na gila aasman se hoga


na tujh se hai na gilā āsmān se hogā
tirī judā.ī kā jhagḌā jahān se hogā

tumhāre mere ta.alluq kā log pūchhte haiñ
ki jaise faisla mere bayān se hogā

agar yūñhī mujhe rakkhā gayā akele meñ
barāmad aur koī us makān se hogā

judā.ī tai thī magar ye kabhī na sochā thā
ki tū judā bhī judāgāna shaan se hogā

guzar rahe haiñ mire din isī tafāḳhur meñ
ki aglā qais mire ḳhāndān se hogā

na tujh se hai na gila aasman se hoga
teri judai ka jhagDa jahan se hoga

tumhaare mere talluq ka log puchhte hain
ki jaise faisla mere bayan se hoga

agar yunhi mujhe rakkha gaya akele mein
baramad aur koi us makan se hoga

judai tai thi magar ye kabhi na socha tha
ki tu juda bhi judagana shan se hoga

guzar rahe hain mere din isi tafaKHur mein
ki agla qais mere KHandan se hoga


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 389) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+